Zahra Se Haal Pochne Jab Aaye Murtaza.
Ro Ro Ke Fatima Ne Wasiyat Mein Yeh Kaha.
Mere Hasan Hussain Ko Lana Abu Al-Hasan.
Tum Roz Meri Qabar Pe Aana Abu Al-Hasan.
Tashna Labi Mein Oss Ko Aata Nahi Hai Chain.
Raton Ko Mangta Hai Pani Mera Hussain.
Uth Uth Ke Oss Ko Pani Pilana Abu Al-Hasan.
Khaya Tha Jab Tamacha Tha Samne Hasan.
Rota Hai Mere Gham Mein Woh Mera Gulbadan.
Tum Oss Ko Pas Apne Bithana Abu Al-Hasan.
Aaye Ga Jo Mere Ghar Ban Kar Dua Meri.
Kurta Siyya Hai Oss Ka Ik Hath Se Ali.
Abbas Ko Yeh Baat Batana Abu Al-Hasan.
Jab Betiyon Ko Meri Yaad Aaye Ya Ali.
Parday Mein Shab Ke Haye Dekho Kabhi Kabhi.
Unn Ko Bhi Meri Qabar Pe Lana Abu Al-Hasan.
Phir Ro Ke Bolein Zahra Aye Waqt Ke Imam.
Tum Ko Main Hath Utha Ke Kaisay Karon Salam.
Uthta Nahi Hai Ab Mera Shana Abu Al-Hasan.
Jab Mujh Ko Ghusal Deney Aao Gay Ya Ali.
Kuch Aisay Zakhm Hain Jo Dekho Gay Oss Ghari.
Bachoon Se Mera Haal Chupana Abu Al-Hasan.
Maiyyat Se Meri Aa Ke Liptay Ga Jab Hussain.
Nazuk Bohat Hai Dekho Woh Mere Dil Ka Chain.
Aahista Oss Ko Maa Se Chorana Abu Al-Hasan.
Kab Chain Se Rahon Gi Bachoon Ki Fikar Mein.
Zehmat Main De Rahi Hoon Yeh Aakhri Tumhein.
Bachoon Ka Mujh Ko Haal Sunana Abu Al-Hasan.
ZEESHAN-Our-RAZA Woh Kehti Thin Ya Ali.
Zahra Ka Sath Tum Ne Chora Nahi Kabhi.
Tanhai Mein Bhi Sath Nibhana Abu Al-Hasan.